jab yaad tumhaari aati thi ek dard sa paida hota tha kuchh baat na hum se banti thi kuchh kaam na achchha hota tha dil jaane wala tha to gaya kyon gham karte kyon pachhtate jab hath se ek shai kho baithe phir hath male kya hota tha kya lutf mila waqt-e-akhir shadan hai abhi tak ruh meri ek jaan se apni jata tha ek mahw-e-tamasha hota tha thi dard ki jab tak dil mein khatak hilta tha falak larzan thi zamin hum aahen jis dam bharte the ek mahshar barpa hota tha jis din se tumhein dekha hum ne aankhon mein hai ab tak wo naqsha jo bich mein tum ne dala tha us parde se kya hota tha gulshan mein jo tum aa jate the bulbul bhi to nale karte the ek main hi nahin hun anokha kuchh sab jag tah-o-baala hota tha 'sayyaf' ka gham mein mit jaana duniya ke liye hai afsana apne to hain apne zikr hi kya beganon mein charcha hota tha