jab yaqin ko guman mein nahin kho saki haar kar jit meri tabhi ho saki khwab mein jab mili khud se main dafatan raat bhar jag kar chain se so saki ek muddat se aankhen meri khushk thin aaj aahat ki dastak pe kuchh ro saki aasman mein sahar ka sitara uga tab kahin hijr kandhe pe main dho saki jab zamin se samundar ki mitti mili nam-e-'nikhat' ke paude ko main bo saki