zulf-e-mazi ko phir siyah karen

zulf-e-mazi ko phir siyah karen
ishq mein aao jaan tabah karen

chhod kar ye sukun ki baaten
be-qarari ki aur chah karen

har taraf hai bujhi bujhi duniya
jab idhar ya udhar nigah karen

phir hua ye ghamon ne gher liya
justuju thi kabhi ki aah karen

be-irada hi khud chale aaen
kash aisa koi gunah karen

sadgi un pe saj nahin sakti
un se kah do ki kaj kulah karen

waqt khushbu badal ke mahkega
wo jo 'nikhat' mujhe gawah karen


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close