jab yas hui to aahon ne sine se nikalna chhod diya ab khushk-mizaj aanhken bhi huin dil ne bhi machalna chhod diya nawak-fagani se zalim ki jangal mein hai ek sannata sa murghan-e-khush-alhan ho gae chup aahu ne uchhalna chhod diya kyun kibr-o-ghurur is daur pe hai kyun dost falak ko samjha hai gardish se ye apni baz aaya ya rang badalna chhod diya badli wo hawa guzra wo saman wo rah nahin wo log nahin tafrih kahan aur sair kuja ghar se bhi nikalna chhod diya wo soz-o-gudaz us mahfil mein baqi na raha andher hua parwanon ne jalna chhod diya shamon ne pighalna chhod diya har gam pe chand aanhken nigaran har mod pe ek licence-talab us park mein aakhir ai 'akbar' main ne to tahalna chhod diya kya din ko quwwat den ye jawan jab hausla-afzan koi nahin kya hosh sambhaalen ye ladke khud us ne sambhalna chhod diya iqbaal musaid jab na raha rakkhe ye qadam jis manzil mein ashjar se saya dur hua chashmon ne ubalna chhod diya allah ki rah ab tak hai khuli aasar-o-nishan sab qaem hain allah ke bandon ne lekin us rah mein chalna chhod diya jab sar mein hawa-e-taat thi sarsabz shajar ummid ka tha jab sar-sar-e-isyan chalne lagi is ped ne phalna chhod diya us hur-laqa ko ghar lae ho tum ko mubarak ai 'akbar' lekin ye qayamat ki tum ne ghar se jo nikalna chhod diya