gali gali aabaad thi jin se kahan gae wo log dilli ab ke aisi ujdi ghar ghar phaila sog sara sara din galiyon mein phirte hain bekar raaton uth uth kar rote hain is nagri ke log sahme sahme se baithe hain ragi aur fankar bhor bhae ab in galiyon mein kaun sunae jog jab tak hum masruf rahe ye duniya thi sunsan din dhalte hi dhyan mein aae kaise kaise log 'nasir' hum ko raat mila tha tanha aur udas wahi purani baaten us ki wahi purana rog