jab zara raat hui aur mah o anjum aae bar-ha dil ne ye mahsus kiya tum aae aise iqrar mein inkar ke sau pahlu hain wo to kahiye ki labon pe na tabassum aae na wo aawaz mein ras hai na wo lahje mein khanak kaise kaliyon ko tera tarz-e-takallum aae bar-ha ye bhi hua anjuman-e-naz se hum surat-e-mauj uthe misl-e-talatum aae ai mere wada-shikan ek na aane se tere dil ko bahkane kai talkh tawahhum aae