sabhi bichhaD gae mujhse guzarte pal ki tarah

sabhi bichhad gae mujh se guzarte pal ki tarah
main gir chuka hun kisi khwab ke mahal ki tarah

nawah-e-jism mein rota-karahta din-raat
mujhe daraata hai koi meri ajal ki tarah

ye shahr hai yahan apni hi justuju mein log
milenge chalte hue chiyuntiyon ke dal ki tarah

main us se milta raha aaj ki tawaqqo par
wo mujh se dur raha aane wale kal ki tarah

nagar mein zehn ke phir sham se hai sannata
udas udas hai dil 'mir' ki ghazal ki tarah

nidhaal dekh ke bistar mein nind ki pariyan
phir aaj mujh se khafa ho gai hain kal ki tarah


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close