jab zist ke mushkil lamhon mein apne bhi kinara karte us waqt bhi hum ai ahl-e-jahan hans hans ke guzara karte hain sayyaad ne tere asiron ko aakhir ye kah kar chhod diya ye log qafas mein rah kar bhi gulshan ka nazara karte hain jazbaat mein aa kar marna to mushkil si koi mushkil hi nahin ai jaan-e-jahan hum tere liye jina bhi gawara karte hain manjdhaar mein naw dub gai to maujon se aawaz aai dariya-e-mohabbat se 'kausar' yun par utara karte hain