jabin-e-shauq par koi hua hai mehrban shayad pae sajda bulata hai kisi ka aastan shayad dam-e-naza wo aae aur ziyarat ho gai un ki mukammal ho gai ab zindagi ki dastan shayad khizan ka nam anjam-e-bahaaran ki khabar sun kar gulistan se kinara-kash hua hai baghban shayad hansa karte hain akasr log diwanon ki baaton par jahan wale nahin samjhe mohabbat ki zaban shayad haram se mujh ko raghbat hai na but-khane se dilchaspi mere sajdon ki qismat mein hai un ka aastan shayad mohabbat mustaqil ek gham hai jis ko jaanta hun main meri duniya mein koi bhi nahin hai shadman shayad qafas tak aa gae udte hue tinke nasheman ke hawa ke dosh par aaya yahan tak aashiyan shayad jabin-e-bandagi jis dam banai khaliq-e-kul ne usi ke sath dali hai bina-e-astan shayad wafadari ghurur-e-be-rukhi ko khatm kar degi ziyaada to nahin kuchh din rahen wo bad-guman shayad jo dushman kah raha hai sab ghalat us ko samajhte hain haqiqat mein wahi hai be-haqiqat dastan shayad jahan-e-dil to hai nazdik 'wasil' dur kyun jao isi duniya mein rahta hai tumhaara mehrban shayad ijazat bazyabi ki na de wo pasban shayad na pahunche khwab-gah-e-naz tak meri fughan shayad