jabin-e-yar pe aai hai barhami ki shikan kahan bahaar kahan shauq-o-arzu ka chaman ye tere rup mein duba tera gudaz badan sahar ki god mein jaise humak raha ho chaman har ek nigah uthi mujh pe ungliyan ban kar magar kisi ko na sujhe tere khutut-e-badan yahi maal hai koshish ka bad-nasibi mein tamam hasrat-o-arman tamam ranj-o-mehan na jaane kitne sarabon ka pesh-khema hai hamare dasht-e-tasawwur mein ek ghazal-e-khutan kiya tha jurm-e-tamanna kabhi jawani mein to aaj site hain hasrat ka apne hath kafan bahaar-e-zist hai shayad wahi faza ki jahan gul-e-nashat ki qimat hai khar-e-gham ki chubhan sada-bahaar hai har zakhm-e-dil agar 'rahi' hansi ki baat hai aai gai khizan ka chalan