lazzat-e-kar bhi hasil nahin be-garon mein wo yahi soch ke shamil hai ghalat-karon mein be-rukhi tarz-e-taghaful wo talawwun kya tha ek iqrar jo dhalta raha inkaron mein phir dabe panw wo chunte hain sulagti tisen aable khul ke jo hanste hain khazaf-zaron mein koi shoalon ki lapak thi na dhuen ki lapten jal-bujhi aab-o-hawa karb ke angaron mein aankh to aankh thi sanson se shuaen phutin koi lipta tha ghani zulf ki mahkaron mein wo jo iffat hai sarapa to mera ijz ba-khair puj lunga use pazeb ki jhankaron mein dub kar so gae is bahr-e-khala mein 'rahi' koi tinka hi na tha khokhle meayaron mein