jabin par khak hai ye kis ke dar ki balaen le raha hun apne sar ki ubhar aai hain phir choten jigar ki salamat barchhiyan tirchhi nazar ki qayamat ki haqiqat jaanta hun ye ek thokar hai mere fitnagar ki kiya majbur aain-e-wafa ne na karni thi wafa tum se magar ki na manoge na manoge hamari udhar ho jaegi duniya idhar ki hui an-ban kisi se mujh pe barse balaen mere sar dushman ke sar ki na tere husn-e-be-parwa ki ghayat na koi had mere zauq-e-nazar ki