karti hai mujhe qatl mere yar ki raftar talwar ki talwar hai raftar ki raftar kaj aisi na thi aage mere yar ki raftar sikha hai magar charkh-e-sitam-gar ki raftar sar girte hain kat kat ke wo rakhta hai jahan panw sikhi hai magar yar ne talwar ki raftar gardish hai teri nargis-e-bimar ko din-raat dekhi nahin aisi kisi bimar ki raftar talti nahin zulfon ke tasawwur ki tarah se hai turfa judai ki shab-e-tar ki raftar laghzish na ho kyun kar rah-e-din mein mujhe zahid yaad aa gai us kafir-e-mai-khwar ki raftar zalim tere kuche se qadam uth nahin sakta kyun kar na chalun saya-e-diwar ki raftar kya mar ko nisbat tere gesu ke chalan se hai saya-e-gesu mein sanam mar ki raftar moti ewaz-e-naqsh-e-qadam girte hain 'nasikh' aisi hai meri kilk-e-guhar-bar ki raftar