jabin par kyun shikan hai ai jaan munh hai ghusse se lal kaisa hazar baaten hon ek hain phir bhala ye baham malal kaisa nahin hai ab tab-e-dard-e-furqat kahan ki izzat kahan ki ghairat hain mubtala apne haal mein hum kisi ka is dam khayal kaisa batao mujh ko ye kya hua hai ye kaun sa dard-e-la-dawa hai ye kyun mera dam ulajh raha hai hai khud-bakhud ji nidhaal kaisa tamam aalam hua jo shaida to kuchh tajjub nahin hai is ka but-e-sitamgar tujh ko bakhsha khuda ne husn-o-jamal kaisa gunah se seri hui nahin hai ye kahte hain sab ajal qarin hai qalaq mein har dam dil-e-hazin hai ki hoga apna maal kaisa ye us sitamgar se koi kah de mariz-e-furqat ki ab khabar le hain kat rahi zindagi ki ghadiyan kahan ka din mah-o-sal kaisa ghazab se hai wan jo chin jabin par hujum-e-gham hai dil-e-hazin par lahu ke dhabbe hain aastin par hai daman ashkon se lal kaisa hawas hai har ek ji ki ji mein hue jo ghash wasl ki khushi mein tamam shab guzri be-khudi mein jawab kaisa sawal kaisa jahan chhana pada hai kab ka falak pe wahshat ka ab hai shohra kahan ka maghrib kahan ka mashriq junub kaisa shumal kaisa wo mehr hun main hua jo talea to ek zamane ne khak udai chamakne dete nahin hain bad mein uruj kaisa zawal kaisa 'habib' kar ke buton ki ulfat abhi se ye hijr ki shikayat rahega ab hashr tak ye jhagda yahan bhala infisal kaisa