jabin pe dhup si aankhon mein kuchh haya si hai tu ajnabi hai magar shakl aashna si hai khayal hi nahin aata kisi musibat ka tere khayal mein har baat gham-ruba si hai jahan mein yun to kise chain hai magar pyare ye tere phul se chehre pe kyun udasi hai dil-e-gamin se bhi jalte hain shadman-e-hayat usi charagh ki ab shahr mein hawa si hai hamin se aankh churaata hai us ka har zarra magar ye khak hamare hi khun ki pyasi hai udas phirta hun main jis ki dhun mein barson se yunhi si hai wo khushi baat wo zara si hai chahakte bolte shahron ko kya hua 'nasir' ki din ko bhi mere ghar mein wahi udasi hai