kal raat suni chhat pe ajab saneha hua jaane do yar kaun batae ki kya hua nazron se napta hai samundar ki wusaten sahil pe ek shakhs akela khada hua lambi sadak pe dur talak koi bhi na tha palken jhapak raha tha daricha khula hua mana ki tu zahin bhi hai khub-ru bhi hai tujh sa na main hua to bhala kya bura hua din dhal raha tha jab use dafna ke aae the suraj bhi tha malul zamin par jhuka hua kya zulm hai ki shahr mein rahne ko ghar nahin jangal mein ped ped pe tha ghar bana hua 'alwi' ghazal ka khabt abhi kam nahin hua jaega ji ke sath ye hauka laga hua