jabin pe shahr ki likh kar faza udasi ki bahut hai khush koi de kar dua udasi ki hayat pa na sakegi husain si khwahish samaaton mein hai jab tak sada udasi ki falak ke chand sitaron mein raushni kam hai mujhe to lagti hai is mein khata udasi ki chahakti sham mein masum qahqahon ke bich saji hai kyun tere sar par rida udasi ki charagh shauq se aakhir wo ho gaya raushan liye thi qaid mein jis ko ghata udasi ki na ho saka mujhe malum kar gai kaise mere wajud ko larzan hawa udasi ki ghamon ki rut se kabhi dil figar mat hona khushi luta gai aksar ada udasi ki masarraton se kahin dil-ruba sitam nikla lapete shaal bahut khushnuma udasi ki ajib haal hai 'jafar' badalte mausam ka kisi ko kar gai shadan saza udasi ki