dil ki be-iKHtiyariyan na gain

dil ki be-ikhtiyariyan na gain
na gain aah o zariyan na gain

din ko chhuta na intizar un ka
shab ko akhtar-shumariyan na gain

na chhupa girya-e-shab-e-furqat
rukh se ashkon ki dhaariyan na gain

aa gae wo bhi wade par lekin
aah ki shola-bariyan na gain

tang aa kar wo chal diye ghar ko
jab meri ashk-bariyan na gain

us ne khat phad kar kaha ye 'rashid'
teri mazmun-nigariyan na gain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close