haqiqaton ko fasana bana ke bhul gaya main tere ishq ki har chot kha ke bhul gaya zara ye duri-e-ehsas-e-husn-o-ishq to dekh ki main tujhe tere nazdik aa ke bhul gaya ab us se badh ke bhi waraftagi-e-dil kya ho ki tujh ko zist ka hasil bana ke bhul gaya guman jis pe raha manzilon ka ek muddat wo rahguzar bhi manzil mein aa ke bhul gaya ab aisi hairat-o-waraftagi ko kya kahiye dua ko hath uthae utha ke bhul gaya dil-o-jigar hain ki garmi se pighle jate hain koi charagh-e-tamanna jala ke bhul gaya