jabr aur sabr bar hota hai dil pe kab ikhtiyar hota hai wo zamane ki khar tak mahken yaadgar-e-bahaar hota hai raat aur din ki koi qaid nahin aap ka intizar hota hai band karta hun jab bhi main aankhen samne ru-e-yar hota hai ahl-e-gulshan ko kya khizan ko bhi intizar-e-bahaar hota hai ji raha hun bas is nazariye par hasil-e-zist pyar hota hai apne akhlaq hi se duniya mein aadmi ba-waqar hota hai nakhuda ko ye kya gharaz koi dubta hai ki par hota hai 'nur' wo gul jo ho khizan-dida hasil-e-sad-bahaar hota hai