jo lab par teri dastan rakh rahe hain charaghon ki lau par zaban rakh rahe hain hamein log kahte hain ghaddar yaro kahan ki khabar hai kahan rakh rahe hain wo kya khak pahunchenge unchaiyon par zaminon pe jo aasman rakh rahe hain hamein wapsi ka yaqin hai tabhi to kinare pe hum kashtiyan rakh rahe hain diya ban ke jalta hun main jin ki khatir wahi rah mein aandhiyan rakh rahe hain wo ai 'nur' talwar kaise uthaen kitabon mein jo titliyan rakh rahe hain