jabr-e-haalat ka to nam liya hai tum ne apne sar bhi kabhi ilzam liya hai tum ne mai-kashi ke bhi kuchh aadab baratna sikho hath mein apne agar jam liya hai tum ne umr guzri hai andhere ka hi matam karte apne shole se bhi kuchh kaam liya hai tum ne hum faqiron se sataish ki tamanna kaisi shahryaron se jo inam liya hai tum ne qarz bhi un ke muani ka ada karna hai garche lafzon se bada kaam liya hai tum ne un usulon ke kabhi zakhm bhi khae hote jin usulon ka bahut nam liya hai tum ne lab pe aate hain bahut zauq-e-safar ke naghme aur har gam pe aaram liya hai tum ne