main ne to ek baat kahi thi baat ko phailaya hai kitna ab main samjha hun duniya ne mujh ko pahchana hai kitna jaane kis ne thappad mara kale baadal ke chehre par main ne dekha hai baadal ko ghusse mein barsa hai kitna lathi pani mein dalon to wapas aati hai pani par dariya zor-awar hai kitna mera sarmaya hai kitna kal main ne kuchh chehre dekhe cafe ke ek lawn mein baithe kya batlaun mujh ko us ka chehra yaad aaya hai kitna us se mil kar khush hota hun phir is soch mein kho jata hun bahar se ujla hai kitna andar se kala hai kitna 'rampur' ji ye mat puchho dil mera rone lagta hai kya bolon socha hai kitna aur us ko paya hai kitna