jacha na kuchh bhi nigahon ko muntaha ke siwa jhuka ye sar na kahin un ke naqsh-e-pa ke siwa hazar minnaten kin lakh hath phailae mila na kuchh bhi magar zakhm-e-iltija ke siwa siwae us ke nahin aur kuchh bhi pas mere tujhe main dun bhi to kya dost ab dua ke siwa yahi hawas hai ki sara jahan ho zer-e-nagin jahan mein kuchh bhi nahin aur is hawa ke siwa khulus shart hai awwal bhi aur aakhir bhi dayar-e-ishq mein sab hech hai wafa ke siwa labon pe harf-e-wafa hai dilon mein bair magar kahun main kya use yaron ki ek ada ke siwa aziz kyun na ho ai 'chand' mujh ko ye daulat bacha bhi kya hai mere pas ab ana ke siwa