jab hamein izn tamasha hoga tu kahan anjuman-ara hoga hum na pahunche sar-e-manzil to kya ham-safar koi to pahuncha hoga udti hogi kahin khushbu-e-khayal gul-e-mani kahin khilta hoga har gul-o-barg hai ek naqsh-e-qadam kaun is rah se guzra hoga lab-e-taswir pe goya hai sukhan koi sun le to tamasha hoga ab bhi gul-posh dariche ke qarib tu kisi soch mein duba hoga aaj ki sham bhi wo sarw-e-jamil tere aangan mein lahakta hoga tu ne jab hath chhudaya tha wo pal tujh ko bhi yaad to aata hoga dil ye kahta hai tujhi se miliye main ye kahta hun ki phir kya hoga dasht-e-furqat mein khada sochta hun tu kahan anjuman-ara hoga