jachti nahin kuchh shahi-o-imlak nazar mein hain mehr-o-mah-o-anjum-o-aflak nazar mein ek soz-e-fusun gar hai teri aankh mein pinhan hai dil ke liye shauq ka fitrak nazar mein kya khub ki kashkol faqiri se hai aaya ek ganj-e-giran-maya tah-e-khak-e-nazar mein ek khwab-e-sahar-saz ka nayab khazana daryaft kiya hai teri bebak nazar mein kuchh aur kahan chahiye is dil ko ki ab hai dariya-e-gham-e-ishq ka pairak nazar mein ye khwab hai sayyaad ka ya ek dil-e-wahshi ubhra hai koi tair-e-chaalak nazar mein sailab shaqawat ke muqabil hai tumhaare ye fasl-e-mohabbat khas-o-khashak nazar mein khae hain bahut mauj-e-mukhalif ke thapede rakkha hai bahut bahr-e-khatarnak nazar mein malbus mein 'anjum' ke hain paiwand ke gauhar kyun thahre ye kamkhab ki poshak nazar mein