jada-e-mai pe guzar khwabon ka mud gaya sail kidhar khwabon ka zindagi azmat-e-hazir ke baghair ek tasalsul hai magar khwabon ka zulmaten wahshat-e-farda se nidhaal dhundhti phirti hain ghar khwabon ka qarya-e-mah se us basti tak roz hota hai guzar khwabon ka subh-e-nauroz bhi dilkash hai 'uruj' is qadar ranj na kar khwabon ka