ab wo pahli si shiddat kahan hai hijr mein we tamazat kahan hai hum to thahre sada ke gadagar tu bata teri daulat kahan hai dekh kar chand jalta tha jis ko aaj wo khubsurat kahan hai sans khud hi chali aa rahi hai sans lene ki fursat kahan hai aaina main ne dekha to dekha sare aalam ki hairat kahan hai ab to bas ek dil hi bacha hai aur wo bhi salamat kahan hai aadmi to nazar aa rahe hain han magar aadamiyat kahan hai dhundne se jo mil jae 'momin' dhund lena mohabbat kahan hai