jada-e-rasti hi kafi hai mujh ko ye raushni hi kafi hai is jahan mein guzarne ke liye mukhtasar zindagi hi kafi hai tujh ko farzangi mubarak ho mujh ko diwangi hi kafi hai kya zarurat hai dushmanon ki mujhe aap ki dosti hi kafi hai kya karunga main sim-o-zar le kar daulat-e-be-khudi hi kafi hai dil ke aangan mein raushni ke liye fikr ki tazgi hi kafi hai is chaman mein khizan-nasibon ko ek kali adh-khili hi kafi hai lashkar-e-gham se jitne ke liye chand-roza khushi hi kafi hai aarzu ke nihaal ko 'shahid' aansuon ki nami hi kafi hai