is shahr mein nishana-e-qatil hami to hain kuchh jabiron ki rah mein hail hami to hain jo bechne chale hain mata-e-bahaar ko un dushmanon ke madd-e-muqabil hami to hain gul-kari-e-chaman mein hamara lahu bhi hai rangini-e-bahaar mein shamil hami to hain jo daulat-e-hunar ke talabgar hain abhi ai rabb-e-harf-o-saut wasael hami to hain jo kho gae hain pech-o-kham-e-rahguzar mein un sab ke muntazir sar-e-manzil hami to hain ek umr se hain halqa-e-girdab mein ghire na-ashna-e-qurbat-e-sahil hami to hain hum hi se hai ye raunaq-e-bazm-e-hayat bhi is karobar-e-waqt ka hasil hami to hain us ne ata kiya hai gham-e-do-jahan hamein us ki nawazishat ke qabil hami to hain ham-rahyan-e-jada-e-duniya se kya gila 'shahid' khud apni zat se ghafil hami to hain