jada-e-zist pe barpa hai tamasha kaisa dost bichhda hai har ek gam pe kaisa kaisa dil ka aatish-kada viran pada tha kab se aankh se bahne laga aag ka dariya kaisa us pe to fasl-e-khizan mar chuki hai shab-khun mausam-e-gul ke guzar jaane ka khatka kaisa chand se chehre nazar aane lage hain kitne khul gaya meri nigahon pe daricha kaisa jis mein ek ashk na ho aankh kahan hai wo aankh bund pani ki na ho jis mein wo dariya kaisa be-tahasha jo badhi jati hai su-e-girdab naw ne dekh liya us mein kinara kaisa dekh mahfil mein har ek aankh hai nam 'yazdani' tu ne ye chhed diya aaj fasana kaisa