jafa wo karte rahe aise bewafa ki tarah gila bhi kar na saka main kabhi gila ki tarah wo sang-dil hai sitamgar hai be-murawwat hai jo gham ka haal sune sirf waqia ki tarah kisi ke bachne ka imkan nazar nahin aata faza mein zahr hai phaila hua hawa ki tarah main shayad ub chuka hun hayat se apni mujhe hayat bhi lagti hai ab qaza ki tarah kisi ko das len to pani na pi sake yaro hain aise log yahan nag dewta ki tarah wo apna jurm chhupane ko shimr ban baithe hamara shahr bhi lagta hai karbala ki tarah tumhaara husn-o-shabab in dinon maaz-allah nazar jamaun to chhane lage nasha ki tarah chaman ko phul to phulon ko chahiye khushbu har ek shai hai yahan dosto gada ki tarah 'naqib' ab koi pahchan hi nahin apni yahan to chha gai tahzib-e-nau bala ki tarah