jag mein koi na Tuk hansa hoga

jag mein koi na tuk hansa hoga
ki na hanste mein ro diya hoga

un ne qasdan bhi mere nale ko
na suna hoga gar suna hoga

dekhiye ab ke gham se ji mera
na bachega bachega kya hoga

dil zamane ke hath se salim
koi hoga jo rah gaya hoga

haal mujh gham-zada ka jis tis ne
jab suna hoga ro diya hoga

dil ke phir zakhm taza hote hain
kahin ghuncha koi khila hoga

yak-ba-yak nam le utha mera
ji mein kya us ke aa gaya hoga

mere nalon pe koi duniya mein
bin kiye aah kam raha hoga

lekin us ko asar khuda jaane
na hua hoga ya hua hoga

qatl se mere wo jo baz raha
kisi bad-khwah ne kaha hoga

dil bhi ai 'dard' qatra-e-khun tha
aansuon mein kahin gira hoga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close