jaga hai kachchi nind se mat chhediye use kya jaane kya junun mein munh se nikal pade sawan ki rut bhi ab ke baras be-khabar gai baadal uthe to jaane kahan par baras gae qad-awari pe apni hamein naz tha bahut suraj uga to qad se bhi sae daraaz the mujrim bane ki sikka tha ahd-e-qadim ka bazar le gae to giraftar ho gae bachpan ki khwahishon ka gala ghontna pada jab hum khala se par hue to khandar mile khalwat ka us ki bhed kisi pe khulega kya diwaren be-zaban hain gunge hain aaine ai 'saif' hum bhi yusuf-e-sani hain aaj-kal andhe kunen se nikle to bazar mein bike