kuchh bacha le abhi aansu mujhe rone wale sanehe aur bhi hain ru-numa hone wale waqt ke ghat utar kar nahin wapas laute dagh malbus-e-mah-o-mahr ke dhone wale daem aabaad rahe dar-e-fana ke basi fikr mein ruh-e-baqayab samone wale thartharaati rahe ab khwah hama-waqt zamin so gae khak-e-abad odh ke sone wale jis pe bhi panw dhara main ne usi naw mein aae aasar nazar khud ko dubone wale ab liye phirta hai kya daman-e-sad-chaak apna kya hue ab wo tere sine pirone wale ja nikalta hai achanak wahin rasta mera dar pa-e-pa hon jahan khar chubhone wale gard hai hath mein un ke meri kusht-e-zar-khez khar-o-khas se jo alawa nahin bone wale ye bhi ek turfa tamasha hai ki hain andhiyare resha-e-shab mein sitaron ko pirone wale kar gae khushk bhari jhil tassuf ke kanwal sukh kar kanta hue raat bhigone wale de gaya hai jo hamein ahd-e-marasim us ka us khazane ko nahin hum nahin khone wale