jaga raha hai tera gham nae nae jadu

jaga raha hai tera gham nae nae jadu
umand rahi hai ghazal se bahaar ki khushbu

chahak rahe hain tasawwur ke bagh mein panchhi
bhatak rahe hain khayalon ke dasht mein aahu

lachak raha hai fazaon mein khwab ka resham
bikhar gae hain ufuq-ta-ufuq tere gesu

na jaane kaun si manzil pe aa gaya hun main
na jaane kaun si basti mein rah gai hai tu

mere gale mein hamail hain naz se ab tak
mujhe na chhod sake teri yaad ke bazu

kidhar ho muhtasibo phir koi naya mansur
faraaz-e-dar se chhalka raha hai jam-o-subu

kabhi to baam-e-surayya ko chum hi lega
bahut latif hai aadam ki jumbish-e-abru


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close