jaga sake na tere lab lakir aisi thi hamare bakht ki rekha bhi 'mir' aisi thi ye hath chume gae phir bhi be-gulab rahe jo rut bhi aai khizan ki safir aisi thi wo mere panw ko chhune jhuka tha jis lamhe jo mangta use deti amir aisi thi shahadaten mere haq mein tamam jati thin magar khamosh the munsif nazir aisi thi katar ke jal bhi sayyaad ki raza ke baghair tamam umr na udti asir aisi thi phir us ke baad na dekhe visal ke mausam judaiyon ki ghadi chashm-gir aisi thi bas ek nigah mujhe dekhta chala jata us aadmi ki mohabbat faqir aisi thi rida ke sath lutere ko zad-e-rah bhi diya teri farakh-dili mere wir aisi thi kabhi na chahne walon ka khun-baha manga nigar-e-shahr-e-sukhan be-zamir aisi thi