jaga wahan nasib adu ka tamam raat main be-qarariyon se na soya tamam raat meri gali se us ko laga le gaya raqib main dekhta hi rah gaya rasta tamam raat tha bazm-e-ghair mein jo wahan shaghl-e-daur-e-jam dard-e-jigar ka tha yahan daura tamam raat muddat hui ki khwab se waqif nahin hai aankh rahta hai zulf-e-yar ka sauda tamam raat paya na tirgi-e-shab-e-hijr mein pata mujh ko ajal ne khub hi dhunda tamam raat dam bhar bhi mere dil ne na sone diya use roya kiya ye hijr ka dhadka tamam raat suhan-e-ruh tha shab-e-wada mein intizar lekin wo hila-ju nahin aaya tamam raat ye husn-e-yar ne kiya hairan shab-e-visal takta hi rah gaya rukh-e-zeba tamam raat mera khayal hijr ki shab wasl ban gaya pesh-e-nigah yar ko rakha tamam raat 'akbar' shab-e-firaq mein jage mere nasib main ne usi ko khwab mein dekha tamam raat