jab yaad kiya usne phir kis ki faramoshi

jab yaad kiya us ne phir kis ki faramoshi
yun aate hain hosh 'akbar' yun jati hai be-hoshi

baithe hue aankhon mein khud mahw-e-tamasha ho
dekha karo tum hum ko hum dekhen to ruposhi

wo turbat-e-ashiq par munh dhanp kar aae hain
allah re sharm un ki allah re ru-poshi

sunte hain ki tha pahle dariya mein nihan qatra
ab bahr ne chahi hai qatre se ham-aghoshi

mahshar bhi hua barpa utthe na tere kushte
behosh hai nam us ka allah re be-hoshi

bhulega na ai 'akbar' ustad ka ye misra
saqi diye ja saghar jab tak na ho be-hoshi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close