jagmag jagmag us ki aankhen mera sina julta tha chand hamare aage aage mashal le kar chalta tha rahguzar thi mahki mahki ek tilismi khushbu se tez hawa mein us ka aanchal kya kya rang badalta tha jhilmil jhilmil karte sapne pahli pahli chahat ke sina-e-shab par is ke qadam the ya khurshid nikalta tha phul sa chehra dahka dahka zulfon ki shadabi mein aalam-e-imkan chupke chupke apni aankhen malta tha surkh labon ki pankhudiyan jab haule se khil jati thin qaus-e-quzah ka resham un par shabnam-war machalta tha ek parinda chikh raha tha masjid ke minare par dur kahin ganga ke kinare aas ka suraj dhalta tha shahr-e-wafa mein ja nikle the hum bhi nur se milne ko wo diwana ek parchhain ke hamrah tahalta tha