kabhi sher-o-naghma ban ke kabhi aansuon mein dhal ke wo mujhe mile to lekin mile suraten badal ke ye wafa ki sakht rahen ye tumhaare pa-e-nazuk na lo intiqam mujh se mere sath sath chal ke wahi aankh be-baha hai jo gham-e-jahan mein dube wahi jam jam hai jo baghair farq chhalke na to hosh se taaruf na junun se aashnai ye kahan pahunch gae hum teri bazm se nikal ke ye charagh-e-anjuman to hain bas ek shab ke mehman tu jala wo shama ai dil jo bujhe kabhi na jal ke koi ai 'khumar' un ko mere sher nazr kar de jo mukhalifin mukhlis nahin mo'tarif ghazal ke