jagmagati raushni ke par kya tha dekhte dhul ka tufan andhere bo raha tha dekhte sabz tahni par magan thi fakhta gati hui ek shakra pas hi baitha hua tha dekhte hum andhere tapuon mein zindagi karte rahe chandni ke des mein kya ho raha tha dekhte jaan dene ka hunar har shakhs ko aata nahin sohni ke hath mein kachcha ghada tha dekhte zehn mein basti rahi har bar huhi ki kali bair ke jangal se hum ko kya mila tha dekhte aam ke pedon ke sare phal sunahre ho gae is baras bhi rasta kyun ro raha tha dekhte us ke honton ke tabassum pe the sab chaunke hue us ki aankhon ka samundar kya hua tha dekhte raat ujle pairahan wale the khwabon mein magan dudhiya punam ko kis ne das liya tha dekhte bich mein dhundle manazir the agarche saf-ba-saf phir bhi 'amabar' hashiya to hans raha tha dekhte