gardish-e-waqt phir ek taza safar mange hai aur meri khana-badoshi koi ghar mange hai baam-e-ummid se palti hui nakaam dua baryabi ka koi aur hunar mange hai kasa-e-harf bhi pindar ko girwi rakh kar kabhi khilat to kabhi lal-o-gohar mange hai dil to bas aap ki rangin khayali mein hai gum aur dhadkan tere aane ki khabar mange hai ek thaka haara musafir koi dam lene ko budhe bargad se koi ek pahar mange hai apni tariki se khud raat bhi hai khauf-zada itni wahshat hai ki ab khud hi sahar mange hai pahle mahdud thi dil tak hi ye virani-e-jaan ab ye sangin waba pura nagar mange hai