jagne walo ta-ba-sahar khamosh raho kal kya hoga kis ko khabar khamosh raho kis ne sahar ke panw mein zanjiren dalin ho jaegi raat basar khamosh raho shayad chup rahne mein izzat rah jae chup hi bhali ai ahl-e-nazar khamosh raho qadam qadam par pahre hain in rahon mein dar-o-rasan ka hai ye nagar khamosh raho yun bhi kahan be-tabi-e-dil kam hoti hai yun bhi kahan aaram magar khamosh raho sher ki baaten khatm huin is aalam mein kaisa 'josh' aur kis ka 'jigar' khamosh raho