taron mein chhup gae ki gulon mein nihan rahe meri nazar ne dhundh liya tum jahan rahe guzre hue zamane ka kuchh to nishan rahe gar aashiyan nahin to gham-e-ashiyan rahe ye aur baat hai ki nazar se nihan rahe lekin wo sath sath rahe hum jahan rahe us ko kisi maqam pe mahdud kyun karo kaun-o-makan bana ke bhi jo la-makan rahe ek naqsh-e-mustaqil wo zamane mein bin gae jo be-niyaz-e-khwahish-e-nam-o-nishan rahe kyun kar yaqin karen ki jahan mein khushi bhi hai hum ko to gham ne gher liya hum jahan rahe nam-o-nishan ke waste marta hai kyun bashar jo sahab-e-nishan the kab un ke nishan rahe kahta hai ye gulon ka tabassum bahut samajh duniya mein do-ghadi bhi agar shadman rahe 'shaarib' jamal-e-dost ka parda to rah gaya achchha hua hijab-e-nazar darmiyan rahe