jagta rahta hun aur khiDki khuli rahti hai

jagta rahta hun aur khidki khuli rahti hai
kya khushi hai ki musibat hi padi rahti hai

itni diwaren gira kar bhi yahi dekha hai
ek diwar meri rah mein khadi rahti hai

bagh mein bikhre hue rang bahut zalim hain
baz goshon mein to virani padi rahti hai

hijr mein wasl ke phal-phul khile rahte hain
shakh bichhde hue mausam se bhari rahti hai

ek virana hai jo shahr ko kha jata hai
ek basti hai jo jangal mein basi rahti hai

ab wo khush-chehra si khatun kahan par hogi
fikr si koi mere ji ko lagi rahti hai

had se badhti hui wahshat bhi ajab shai hai 'wafa'
mere chehre pe kisi gham ki hansi rahti hai

mausam-e-girya guzar jata hai maqsud-'wafa'
meri diwar pe barish ki nami rahti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close