main TuT kar use chahun ye iKHtiyar bhi ho

main tut kar use chahun ye ikhtiyar bhi ho
samet lega mujhe is ka e'tibar bhi ho

nai ruton mein wo kuchh aur bhi qarib aae
gai ruton ka sulagta sa intizar bhi ho

main us ke sath ko har lamha mo'tabar jaanun
wo ham-safar hai to mujh sa hi be-dayar bhi ho

mere khulus ka andaz ye bhi sachcha hai
rakhkhun na rabt magar dosti shumar bhi ho

safar pe niklun to rasm-e-safar badal jae
kinara badh ke kabhi khud hi ham-kanar bhi ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close