jagte jagte umr basar ho aisa bhi ho sakta hai

jagte jagte umr basar ho aisa bhi ho sakta hai
pal mein shab-e-furqat ki sahar ho aisa bhi ho sakta hai

jin logon ne jaan ke mera ghar kuchh patthar phenken hain
wo un ka apna hi ghar ho aisa bhi ho sakta hai

aaj to bas patthar hi patthar apne sirhane hain lekin
kal un ki aaghosh mein sar ho aisa bhi ho sakta hai

raaz wo dil ka jis ko hum ne ab tak raaz hi rakkha hai
lekin us ki sab ko khabar ho aisa bhi ho sakta hai

duniya jis ko 'faiz' samajh baithe hain hum ek shish-mahal
wo bhi koi ret ka ghar ho aisa bhi ho sakta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close