kab hui khatm raat yaad nahin kya hui un se baat yaad nahin kab luta karwan sitaron ka kab luti kaenat yaad nahin kaise guzre wo be-khabar lamhe kaise guzri hayat yaad nahin kis ne jiti hai ishq ki bazi kis ne khai hai mat yaad nahin wo khuli zulf wo khuli bahen qaid thi ya najat yaad nahin wo mera jashn-e-na-muradi tha ya kisi ki baraat yaad nahin kab mile the kahan mile the wo 'faiz' itni si baat yaad nahin