jagti aaankhon ko khwabon ki saza de jaega phir purana dost koi dukh naya de jaega jaane kab tutega ye lafz o maani ka tilism jaane kab wo gunge lafzon ko sada de jaega budhi aaankhon ne sajaya hai jawan bete ka khwab kanpte hathon mein ek khat dakiya de jaega raat din lipta hai pairon se mere andha safar ajnabi ehsas manzil ka pata de jaega muskuraati zindagi ke khun ka pyasa uqab waqt ke hathon mein zakhmi fakhta de jaega jhut is se pahle to bachchon ke honton par na tha bhuk ka aaseb un ko aur kya de jaega raat ke aangan mein suraj ke musafir ka qayam phul se jismon ko zakhmon ki qaba de jaega mere munsif faisla tera sar-e-taslim kham jo bhi kuchh hoga muqaddar ka likha de jaega phir dulhan banne se pahle muflisi bewa hui phir amir-e-shahr khwabon ko chita de jaega